muhalle me mere jab koi barat aati hai,
wo sharm se nazre jhukati hai,
kabhi ise kabhi use or kabhi khud ko sunati hai
mere laye hue kangan wo din raat bajati hai,
hatheli me nahi hone deti hai wo dhundla,
mere naam ke upar khoob mehandi rachati hai
phir aaine ke samne baith khud ko dulhan or
meri tasveer ko chip kar dulha banati hai

From India, Delhi
Nice One Dear.
iss dil mein bhi hasratein baki hai
teri wafa ka abhi karna hisaab baki hai
jo sawaal humare dil ki tadap ne hai puchhe
unki wafa mein likhna hisaab baki hai
siyahi sukh bhi jaye kal tere lautne tak
tu ghabrana nahi mere ragon mein lahu baki hai
iss zindagi ki khatm nahi kitaab yahin
panne dilchasp abhi palatne baki hai

From India, Delhi
wah wah rahul, to suno jab tassabur tera nahi hota zindagi me maza nahi hota kitna humdard hai khayal tera mujhse dumbhar juda nahi hota
From India, Delhi

Nice One.......
Here It Goes...
fir wahi fasaana afsaana sunaati ho,
dil ke paas hoon keh kar dil jalati ho,
beqaraar hai aatish-e-nazar nazar se milne ko,
to Fir kyon nahi pyaar jataati ho
aakhon ki zuban wo samajh nahi pate,
honth hain magar kuch keh nahi pate,
apni bebasi kis tarah kahen,
koi hai jinke bina hum reh nahi paathe.

From India, Delhi
awesome to lijiye dil ka dard kya jane bedard bhala tu dil ka dard kya jane bedard bhala tu dil hota tere paas to dard bhi hota
From India, Delhi
Hmmmmmmm.
tujhe chahne wale kum na honge,
waqt ke sath shayad hum na honge,
chahe kisi ko kitna bhi pyaar dena,
lekin teri yaadoN ke haqdar sirf hum hi hoNge
mila nahi koi dilbar aisaa,
jo hamse dil lagaataa,
hum to hain diljale aur,
yu hi koi dil nahi jalaataa.

From India, Delhi
awesome boss do roz me wo pyar ka alam gajzar gaya barbad karne aya tha barbad kar gaya bas itni si hai dastan bachpan ke pyar ki do phool khilte khilte aangan ujad gaya
From India, Delhi
Great Goin.....
mere jeene ke liye tera armaan hi kaafi hai,
dil ke qalam se likhi ye dastaan hi kafi hai,
teer-e-talwaar ki tujhe kya zaroorate ai nazneen,
qatl karne ke liye teri muskaan hai kafi hai.
agar hum na hote to tujhe ghazal kaun kahta,
tere chehre ko kamaal kaun kahta,
yeh to karishma hai mohabbat ka,
warna pathharoN (stones) ko taj mahal kaun kaheta??

From India, Delhi
Man gaye ustaad......do no ho behtarin..........
Gr8 Rahul.....keep it up...
Durga.........aapka doosra roop pasand aaya.....yaar.....gr8 shayris..........khud likhte ho ki Chori mera kaam .......Durga tera naam.........

From India, Mumbai
kon kehta hai ki mulaqat nahi hoti
kon kehta hai ki mulaqat nahi hoti
roz milte hain magar baat nahi hot.
ai baadal itna na barasna ki wo aa bhi na paye
ai baadal itna na barasna ki wo aa bhi na paye
unke aane ke baad itna barasna ki jaa hi na paye

From India, Delhi
Community Support and Knowledge-base on business, career and organisational prospects and issues - Register and Log In to CiteHR and post your query, download formats and be part of a fostered community of professionals.






Contact Us Privacy Policy Disclaimer Terms Of Service

All rights reserved @ 2024 CiteHR ®

All Copyright And Trademarks in Posts Held By Respective Owners.