Manju27
2

Pyar karne se kuch milt a nahi,
Khwab dekhne se phul khilta nahi,
Aazma lo chahe kitni hi baar,
Magar naseeb me na ho tho,
Koi kabhi milta nahi..
Muskurana hi khushi nahi hoti,
Umar bitana hi jindagi nahi hoti,
Dosto ko kabhi yaad kar liya karo.,
Sirf dost kehne se dosti nahi hoti..
Apne dard e dil ka hamdard hamehi paoge,
In tanhayion me saath hamara hi paoge.
Dur hai apse to kya hua,
In duriyon me sabse karib hamehi paoge
Zamane se kab k guzar gaye hote,
Jeene se pehle hi mar gaye hote,
Bandhe na hote agar apki dosti k dhago me,
To kab ke motiyo jaise bikhar gaye hote..
Regards,
Manju :)

From India, Hyderabad
Rahul Sethi
11

Khuda Hi Khuda
Idhar khuda hai, udar khuda hai,
Jidar dekho udar khuda hai,
idhar-udhar bus khuda hi khuda hai
jidhar nahi khuda hai….udhar kal khudega!
Recent News Headlines : Softdrinks Contain Dangerous Pestcides.
Insan to newspaper padh sakte hain par janwaro ka
kya hoga kyonki…. Aaj kal CHEETAH BHI PEETA HAI !
Pyaar Ise Kehte Hain
Jawani ko zindage ki nikhaar kehte hain,
pathjad ko chaman ka majdhaar kehte hain,
Ajeeb chalan hain duniya ka yaaro,
Ek Dhoka hain Jise hum sab “PYAAR” kehte hain !
Dekha tujhe to rooh khush ho gayi,
Ek kami thi vo bhi puri ho gayi,
Pagal hain vo log jo kehte hain ki,
Chimpanzi ki aakhri nasal kahin kho gayi!!
Mere Dil, Jiger, Kidney, Liver ho tum
waqt-bewaqt aaye vo fever ho tum
Doob kar jisme marr jaoo vo River ho tum
Mere jeevan mein ab to forever ho tum…
Shaam hote hi ye Dil udaas hota hai
Toote khwaboo ke siwa kuch na pass hota hai
Tumahri yaad aise waqt bohat aati hai
Bandar jab koi aas-paas hota hai..
:lol: :lol: :lol:
Rahul

From India, Delhi
sandeep_sable
5

Maine to ek Mum bati jale ke shayari likhi thi , Kya pata yahah Cite-hr pe Doston ne puri site , Shayari se sazza rakhi thi.
Ab ek hi kami hi mumbati buzha kar , ek badi ek badi gas ki na buzhne wali bati jalata hoon aur sab ko amantrit karta hoon....
Mi Baithenge char yaar aur likthe rahte hi shayari .........
......aarj ki hi
.........
Meri khamosh mohabbat ka itna to sila diya hota,
Kabhi ik nazar chahat se dekh hi liya hota.
Hum bhi tujhe ishq-0-mohabbat se aashna karte,
Bas ik baar apne dil mein aane to diya hota.
Kya jata tumhara bas hume hi dil se khushi milti,
Apni zindagi ki kitaab mein naam hamara bhi likh liya hota.
Dekh lete zara gaur se shayad,
Tumhare haath ki lakhiron mein hamari kismat ka bhi diya hota.
.........sandeep_sable

From India, Pune
sunaina.kapoor
1

Manzil bhi uski thee..raasta bhi uska tha, ek main akela tha...kafila bhi uska tha, sath-sath chalne ki soch bhi uski thee..fir raasta badlna ka faisla bhi uska tha...aaj kyoun akela hoon...dil sawaal karta hai...log toh uske the, kya Khuda bhi uska thaa........ :?: :?: :?:
From India, Delhi
shrutiarjun
5

Sunaina......your name is beautiful and the shayari is also wonderful :lol: :lol: :lol: :lol: :lol: :lol: :lol: :lol: :lol:
Your name reminds me of a beautiful song of Yesudasji......keep sharing more shayaris :lol: :lol: :lol: :lol: :lol: :lol: :lol: Sindhu

From India, Delhi
sunaina.kapoor
1

Thanks a lot.... Sindhu... :)
Here's another one .... Enjoy everyone.... :)
Duniya jise neend kehti hai,
Na jaane woh kaun si cheez hoti hai,
Aankhen to hum bhi bandh kate hai,
Par woh "UNSE" milne ki tarqeeb hoti hai...!!!!! :D

From India, Delhi
Manju27
2

Arz hai..
Kaun Kehta hai ke TAJ MAHAL bana ne ke liye daulat nahi milti,
daulat to bahut milti hai lekin jiski yaad me banaye waise mohobbat nahi milti
zindagi ki raho me ishq to na mila,
is bedard zamane me kuch na mila,
hum gham kyon kare woh hame na mile,
Are gham to woh kare jine hum na mile..
Dekhlo awaaz de kar,
Paas apne paoge,
Aoge tanha par tanha na jaoge,
door reh kar b aap par hai nazar hamari,
Thaam lenge haath jab b thokar khaoge..
Falak ko zid hai bijiliya girane ki,
hume bhi zid hai wahi aashiyan banane ki,
aapko zid hai agar hume bhulane ki..
Tho hume bhi zid hai aapko apni yaad dilane ki..
Regards,
Manju :)

From India, Hyderabad
shrutiarjun
5

Excellent Manju dear........aapki shayari tho kamaal ki hain ki Shahjahan bhi apne Kabhr.....mein hil gaye honge :lol: :lol: :lol: Sindhu
From India, Delhi
sandeep_sable
5

Excellent Manju and Sunaiyna ( the name really reminds me the Yesudas song i used to listen in my childhood )
Well one more here....
yaadon ki dhund me ek parchhaain si lagti hai
kaanon me gunjti shanaai si lagti hai
aap kareeb hain ( courtsey citehar ) to apnaapan hai warna
sine me saans bhi paraai si lagti hai
................sandeep_sable

From India, Pune
shrutiarjun
5

Subaan Allah............kya shayari hai Sandeep Sable.....BALLE BALLE :wink: :lol: :lol: :lol: :lol: :lol: :lol: :lol: :lol: Sindhu
From India, Delhi
Community Support and Knowledge-base on business, career and organisational prospects and issues - Register and Log In to CiteHR and post your query, download formats and be part of a fostered community of professionals.






Contact Us Privacy Policy Disclaimer Terms Of Service

All rights reserved @ 2024 CiteHR ®

All Copyright And Trademarks in Posts Held By Respective Owners.