hanuma
19

1) Seh liya har dard humne haste haste'

ujd gaya ghar mera yaaro baste baste'

ab wafa kare to kis se kare yaaro'

wafa karne gaye to bewafa hi mile raste raste..

2) Dhala din..

Fir wahi shaam hogi..

Askh honge, yaadein hongi,

Zindgi...,Fir gum k pyalo k naam hongi.

Hasrato ki mehfil....

Uhi viraan hongi.

3) Nigaho me or koi dosti ke kabil na raha,is kinare ka or koi sahil na raha.Chand jaisa dost mila hume zamin par, aasma ka chand bhi ab deedar k kabil nahi

raha.

4) Wo mere liye kuch khaas hai yaaro'

jinke laut aane ki na koi aas hai Yaaro'

wo najro se door hai to kya huwa..

Banke dil ki dhadkn mere paas to hai yaaro'

5) Is Dil me aa saka na koi Is dil ko chura na saka koi Kasoor is main kisi ka nahi Aap jesi jagha is Dil main bana saka na koi

6) Shaam chirago se saja rakkhi hain.. Shart logo se laga rakkhi hain, shayad aa jaye koi humse bhi zyada pyasa, yahi sochkar thodi si bacha rakkhi hain.......

7) Kash Ye Dil Shishe ka bana hota,Chot Lagti to Beshak ye Fanah hota. .Par Sunte Jab Wo Aawaz iske Tutne ki,Tab Unhe b Apne Gunah ka Ehsaas hota...

8) Dil si cheez hai, dene ko hai de day

Magar koi qabeel bhi to ho

Hum to jaan de kay bhi khush hain

Magar koi qateel bhi to ho

9) Main tod leta agar wo GULAB hoti,Main jawab banta agar wo SAWALhoti,Sab jante hai main nasha nahi karta phir bhi pi leta agar wo SHARAB hoti

10) Mitti ki anokhi murat ho tum,

Zindagi ki ek zarurat ho tum,

Phool to khubsurat hote hai,

Phoolo se bhi khubsurat ho tum

11)Aapko mile zamana sa lagta hai

Aapse juda hue sadiyon sa lagta hai

Achcha hua jo humne chod diya aapko

Bacha liya khud ko achcha lagta hai

12)dil say dil ka jab salaam hota hai

faslon ka wahan kya kaam hota hai

khuda bhi sajda uska karta hai

sanam par jo kurbaan hota hai

Hanuma :) :) :)

From India, Kakinada
Akhilkhadyal
dard se juda huye toh tum mile tum se juda huye toh dard mile
kaisa yeh silsila tha mohobbat ka bus har baar mujhe aansu hi mile
fark itna tha kuch pyar ke the kuch tere gam mein mile.....
by Anil R Bhardwaj

From India, Delhi
Community Support and Knowledge-base on business, career and organisational prospects and issues - Register and Log In to CiteHR and post your query, download formats and be part of a fostered community of professionals.





Contact Us Privacy Policy Disclaimer Terms Of Service

All rights reserved @ 2024 CiteHR ®

All Copyright And Trademarks in Posts Held By Respective Owners.